Saturday 3 March 2018

Aate ke laddoo

Namaskar doston,
Mein hoon Sangeeta Agrawal aur mere blog par aapka bahut bahut swagat hai. Aaj hum bana rahe hain aate ke laddoo jo ki bahut aasani se ghar par ban jaate hain aur kai mahenay (months) tak kharab nahi hote hain.

# INGREDIENTS
1. 500 grams aata
2. 350 grams ghee
3. 400 grams mota boora (tagar)
4. 20 grams mingi (kharbooj ke beej)
5. 20 grams badam, kaaju etc.
6. 20 grams khaane wala gond, if u like (optional)

# METHOD OF MAKING
  • Gas on karke bhaari kadhai rakh kar 2 tablespoon ghee dal denge. Ghee garam hone par gond ko fula lenge jisse aasani se baarek ho jaaye aur roast ho jaaye. 
  • Ab roasted gond ko grinder me yaa belan se press karke alag rakh denge.
  • Ab isi kadhai me baaki ka ghee aur aata dono ek saath daal kar slow medium aanch par lagatar bhoonenge. Jab aate se acchi khushboo aane lage aur aata gahre brown colour ka ho jaaye to wo bhun gaya hai.
  • Jab aate se ghee alag hone lage to samajh jaaye laddoo ka aata bhun kar taiyyar hai. 
  • Phir aata thanda hone ke bad boora,  dry fruits (cut kiye huye) aur gond powder daal kar laddoo bana lijiye.

# THINGS TO REMEMBER
1. Gond ko slow gas par bhoonana hai jisse andar se kachcha naa reh jaaye.
2. Mota boora daliye isse zyada tasty bante hain.
3. Roasted mingi aur dry fruits dalne se zyada tasty aur lambe samay (long time) tak chalte hain.

Thanks Doston, 
If you like myrecipee please tell me

Thanks again



No comments:

Post a Comment