Monday 5 March 2018

Swadisht Gujiyan


Namaskar doston,
Me hoon Sangeeta Agrawal aur mere blog par aapka bahut bahut swagat hai doston. Aap sabhi jante hain ki hamara Bharat tyorahon ka desh h aur har tyohar kisi na kisi pakavan se related hai jaise Holi aur Diwali par Gujiyan banayi jaati hain. To dekh lete hain ki gujiyan banane ke liye kya saman ki zaroorat hoti hai.

# INGREDIENTS
1. 250 grams maida (all purpose flour)
2. 60 grams desi ghee (moyan ke liye)
3. 150 grams bareek boora yaa pisi huye cheeni
4. 250 grams khoya (mava)
5. 250 grams cheeni aur barabar ka paani chashni ke liye
6. gujiyan ki bharavan (filling) ke liye chironji, kishmish, choti ilaichi powder
7. 1 spoon roasted suji (semolina)
8. Garnishing ke liye cut kiye huye pista
9. 500 grams ghee gujiyan fry karne ke liye

# METHOD OF MAKING
Sabse pehle maida me ghee daal kar acchi tarah se milate huye light luke warm water se tight (poori ke aate se sakht) aata laga kar alag dhak kar rest ke liye rakh denge (half an hour).

FILLING KI TAIYYARI
Gas on karke khoya ko acchi khushboo aur rang badlne tak mandi aanch par bhunenge. Thanda hone par boora, cut kiye huye dry fruits as your choice, 5/6 ilaichi ka powder aur bhooni huyi sooji ko mila kar bharavan taiyyar karenge. 

Ab gujiyan belne ki taiyari hai, uske liye aate ko haath se acchi tarah chikna karke choti loi (peda jaisi jo poori ke liye banate hain) banakar cover karke rakhenge jisse maida sookh naa jaaye. Ab ek-ek loi ko poori ki tarah bel kar 1 spoon filling bharke dono kinaron ko maida ke ghol (1spoon maida aur 2 spoons paani ka mixture) se chipka kar haath se goonth kar yaa saanche se gujiyan bana kar cover karke rakhenge jisse gujiyan sookh naa jaaye nahin to fry karte time gujiyan crack (phat) sakti hain.

Saari gujiyan ghee me fry karne ke baad sugar syrup bana lenge. Iske liye 1 bartan me barabar ka cheeni aur paani daal kar 2 tar ki chashni bana kar 2 yaa 3gujiyan ko dip karke chalni par rakhte jaayenge jisse extra chashni nikal jaaye. Ab saari gujiyan ko pista se garnish karke thandi hone par kisi container me bhar lenge.

# THINGS TO CONSIDER
1. Khoya accha bhuna hua ho to gujiyan zyada din chalti hain.
2. Gujiyan ko banakar (fry karne se pehle) cover kare jisse sookh naa jaaye (crack  na aaye).
3. Chashni me se nikalte hee pista laga kar garnish kare warna pista chipak nahi paayenge.

# NOTE
Aap chasni mein bhi bareek cut kiye huye pista dal sakte hain.


Thanks,
Please doston if you like my recipe comment and share it.
Thanks again.

No comments:

Post a Comment