Hello friends,
Me hoon Sangeeta Agrawal aur mere blog par aapka bahut bahut swagat hai. Aaj ki recepie hai Lauki Ki Barfi jo ki bahut healthy aur tasty hoti hai.
# INGREDIENTS
1. 1 kg fresh lauki
2. 500 gram milk
3. 250 gram cheeni
4. 2 tablespoon ghee for roasting grated lauki
5. 2 table spoon milk maid or milk powder
6. 3 tablespoon roasted nuts (finely chopped)
7. Chopped pista or chaandi vark for garnishing barfi.
# METHOD OF MAKING
- Pehle lauki yaa bottlegourd ko acchi tarah dhokar, cheelkar aur grate karke kadhai me ghee daal kar lauki ko bhun lenge. Ab doodh daal dry hone tak roast kariye. Ab Cheeni dal dijiye aur paani sukhne tak pakaiye.
- Last me 2 tablespoon milkmaid yaa milk powder daal kar barfi ko set hone ki consistency tak chala kar, kisi greased container me transfer karke pista yaa chaandi vark se garnish karen.
- Thandi hone par apni pasand ke aakar me cut kijiye.
No comments:
Post a Comment