Friday 18 May 2018

Instant Appam cake

Hello friends,
Me hoon Sangeeta Agrawal aur mere blog par aapka bahut bahut swagat hai doston. Hum sabhi ko cake bahut hi pasand hota hai. Par banane me thoda time lagta hai. Isliye aaj hum cake ko appam pan me bana rahe hain jo ki 5 minutes me ban kar taiyyar ho jaata hai. Meri aaj ki recipe hai appam cake.

# INGREDIENTS
  1. 1 cup sooji (semolina)
  2. 1/2 cup condensed milk
  3. 1/2 cup powder sugar
  4. 30 grams salted butter
  5. 2 tablespoonn tutti-fruity for vanilla cake
  6. 1 tablespoon cocoa powder for the chocolate cake
  7. 1/2 tea-spoon vanila essence or ilaichi powder
  8. 1/2 spoon baking powder and 1/2 teaspoon baking soda or you can use Eno fruit salt (2 teaspoons)
  9. some milk for mixing the batter

# METHOD OF MAKING

  1. Pehle ek bowl me dry ingredients daal kar 2 baar chalni (sieve) me chaan lenge jisse achhi tarah mix hone ke saath air banne lagti hai aur cake achha spongy banta hai.
  2. Ab isko 2 part me divide karke, ek me tutti-fruity aur ek me cocoa powder mix kar alag rakh dijiye.
  3. Phir ingredients ko achhi tarah phent kar (beat) fluffy bana lijiye.
  4. Ab aadha-aadha (half.. half) batter ko do bowls me transfer karke doodh ki help se semi thick batter bana lijiye. 
  5. Ab appam pan ko greased (chikna) kar halka preheat kariye. 
  6. Eno salt yaa baking soda mila kar ek spoon se aadha fill kariye. Appam stick yaa fork ki help se ulat palat kar bake kariye.
  7. Thanda hone par cake ke upar honey daal kar tutti-fruity aur chocolate chips se garnish kijiye. Lijiye yummy sa cake taiyyar hai.


# THINGS TO CONSIDER
  1. Semolina ki jagah (place) par wheat aata, all purpose flour (maida) bhi use kar sakte hain.
  2. Appam pan me cake ko 30 seconds me check kijiye. Yeh  bahut jaldi bake ho jaata hai.
  3. Agar condensed milk naa ho toh dahi daal kar bhi bahut tasty banta hai.
Thanku Doston,

If you like my recipe then please share it.
Thanks again.

No comments:

Post a Comment