Friday 18 May 2018

Oats Milk Kalakand

Hello friends,
Me hoon Sangeeta Agrawal aur mere blog par aapka bahut bahut swagat hai doston. Oats (jaee, jwar) ko aaj hum mithai ki form mein bana rahe hain. To aaj ki meri recipe hai oats milk kalakand.

# INGREDIENTS
  1. 1 kg.full cream milk
  2. 200 grams cheeni
  3. 2 tablespoon well roasted and grind oats
  4. 1 tea-spoon alum (fitkari)
  5. 100 grams grated paneer
  6. 1 teaspoon ghee
  7. 1 teaspoon hari ilaichi powder (cardamom powder)
  8. 2 tablespoon finely chopped and roasted dry fruits

# METHOD OF MAKING
  • Sabse pehle kadhai me ghee daal kar chopped kaaju aur badam ko roast kare. 
  • Phir oats ko slow medium gas par bhoon kar nikal lenge. Ab isi kadhai me doodh (milk) daal kar boil kariye. 
  • Doodh me ubaal aane par 1 tea-spoon alum daal kar milk ko lagataar chalate rahiye. Doodh me oats milakar thick hone tak chalana hai.
  • Ab cheeni aur paneer milakar chalaiye. 
  • Dry fruits and ilaichi (cardamon) powder mix kar niche tali mein se ragadte huye jamne ki consistency tak chalakar greased container (chiknai lage bartan) me transfer kariye.
  • Thanda hone par apni pasand ke aakar me cut kijiye. Lijiye oats kalakand taiyyar hai. Dry fruits se garnish kar serve kijiye.

# THINGS TO CONSIDER
  1. Alum is beneficial for health and it enhances the taste of kalakand.
  2. Oats ko doodh me grind aur roast karke ke baad daaliye.
  3. Agar kalakand set nahi ho paaye toh fridge mein rakhiye.
Thanku Doston,

If you like my recipe then please share it.
Thanks again.

No comments:

Post a Comment