Saturday 19 May 2018

Poha Potato Cutlets


Hello friends, 
Me hoon Sangeeta Agrawal aur mere blog par aapka bhaut bahut swagat hai doston. Cutlet ko hum aksar bread ke saath banate hain par aaj hum cutlets ko poha aur cornflour ke saath bana rahe hain jisse yeh zyada crunchy banenge. Meri aaj ki recipe hai Poha Potato Cutlets. .

# INGREDIENTS
  1. 250 grams potato
  2. 100 grams poha
  3. Salt as per taste
  4. 1spoon red, green and black chili
  5. 2 tablespoon chopped ginger,1 teaspoon lemon juice
  6. Onion and garlic if you like
  7. 2 tablespoon cornflour and 1 tablespoon all-purpose flour for dipping cutlet
  8. Ghee or oil for frying cutlets

# METHOD OF MAKING
  • Sabse pehle poha ko kai baar paani me dhokar chalni mein rakhiye jisse extra paani nikal jaaye.
  • Ab boiled aaloo (potato) ko grate karke, poha aur sabhi ingredients ko mila kar tray yaa plate mein set kariye aur cutlet cutter se shape dijiye. 
  • Agar cutter na ho toh round, oval yaa kisi lid se bhi cut kar sakte hain. Ab saare cutlet ko cornflour ke thin paste me dip karke breadcrumbs mein lapetkar deep yaa shallow fry kijiye.
  • Lijiye poha potato cutlet taiyyar hai. Apni pasand se sauce/chutney aur chai/coffee ke saath enjoy kijiye.


# THINGS TO CONSIDER
  1. Agar cutlet dough soft ho jaaye to maida, cornflour, oats, daliya, bread crumbs or anything you have, mila kar fridge me rakhiye. Aur agar dough dry jo jaaye toh paani yaa doodh milakar soft kariye.
  2. Agar cutlet ko pehle se banakar fridge me rakh le toh splatter nhi hote.
  3. Breadcrumbs ki jagah til (seasame seeds) bhi laga sakte hain.

Thank you doston,
If you like my recipe then please like and share it.

No comments:

Post a Comment