Hello friends,
Namaskar, me hoon Sangeeta Agrawal aur mere blog par aapka bahut bahut swagat hai doston. Sabhi jante hain ki papaya bahut healthy fruit hota hai isliye aaj hum Papaya ki barfi banayenge jo ki bahut hi tasty lagti hai.
# INGREDIENTS
1. 250 grams peeled and grated ripe papaya
2. 15 grams (1 spoon) desi ghee for roasting papaya
3. 150 grams cheeni
4. 200 grams milk for cooking papaya
5. 200 grams kaaju yaa badam powder
6. 1 teaspoon ilaichi powder
7. 1 tablespoon dry fruits (kaaju, badam) finely chopped
# METHOD OF MAKING
- Pehle papeete ko achi tarah dhokar, cheelkar grate karenge. Hum papeetay ko bade pieces me kaat kar pressure cooker me 2 whistles tak paka sakte hain. Aur potato mesher se mesh karke bhi papaya pulp bana sakte hain (jo bhi aapko pasand ho).
- Phir ghee daal kar papeete ke pulp ko paani sukhne tak roast kariye. Ab doodh mila denge. Phir milk ke sookhne tak roast kariye. Ab cheeni dal denge. Phir se chalate huye tab tak pakana hai jab tak sugar syrup sookh jaaye.
- Ab ilaichi powder, kaaju, moongfali yaa badam powder mix karke gas off kar dijiye. Ab kisi bhi chiknai lage (greased) container me transfer karke barfi ko jama lenge.
- Dry fruits ko daal kar garnish karke halke haath se press karenge jisse dry fruits chipak jaaye. Thandi hone par 1 ghante ke liye fridge me rakh kar apni pasand ke aakar me cut kariye. Lijiye tasty barfi taiyar hai.
Thanks Doston,