Sunday, 11 March 2018

Triplex Dhokla

Namaskar Doston,
Me hoon Sangeeta Agrawal aur mere blog par aapka bahut bahut swagat hai. Aaj hum teen layer ka dhokla (Triplex Dhokla) bana rahe hain jo ki sabhi ko bahut pasand aata hai.

# INGREDIENTS
1. 300 grams besan
2. 150 grams sooji, 150 grams dahi (curd)
3. 2 teaspoon oil
4. 3 teaspoon Eno fruit salt
5. Salt to taste

TADKE KE LIYE
1. 1 teaspoon oil
2. 1 teaspoon mustard seeds
3. Curry patta (12 around)
4. Hari mirch as you like
5. Juice of 3 lemons
6. 1 teaspoon sugar

# METHOD OF MAKING
  • Pehle hum besan me  1/2 teaspoon namak aur 1 teaspoon oil daal kar paani se batter taiyyar karenge (pakode jaise consistency). Phir alag bowl me sooji namak daal kar smooth batter taiyyar karenge.15 minutes ke baad pressure cooker yaa dhokla cooker m 500 ml. paani daal kar bhap banane ke liye rakh dengey. Tab tak ek round yaa square container ko oil se chikna karke besan ke half part mein 1 spoon eno daal kar 5 mins bake karenge. Phir sooji wale batter me 1 spoon eno daal kar mix karke, besan wale batter ke upar daal kar 5 mins bake karenge. Ab last me bache huye half besan me 1 teaspoon eno daal kar 15 mins bake karenge.
  • Lijiye dhokla taiyyar hai. Thoda thanda hone par plate mein transfer kar tadka ka paani dal denge.

# TADKE KA PAANI
Kadhai me ek spoon oil daal kar sarson chatka kar 800 gram pani dal denge phir lemon juice, 1 1/2 spoon namak, cheeni etc daal kar boil Karenge, jab tak hari mirch soft naa ho jaaye. Apni pasand ke aakar me cut kijiye.

Thanks,
Please give me ur feedback.
Thanks again.


No comments:

Post a Comment