Monday, 5 March 2018

Besan Masala Bhindi

Namaskar doston, 
Me hoon Sangeeta Agrawal aur mere blog par aap sabka bahut bahut swagat hai. Aaj ki recipe hai Besan masala bhindi jo ki bahut kurkuri hoti hai and khaane me bahut tasty lagti hai. Isko roti, paranthe yaa poori ke saath khaa sakte hain.

# INGREDIENTS
1. 400 grams bhindi
2. 2 tablespoon mustard oil
3. 1pinch heeng (asafoetida)
4. 1/2spoon jeera,1 spoon haldi, dhaniya powder, lal mirch, 2 spoon saunf and Salt according to taste
5. 1tablespoon roasted besan
6. 1 tablespoon finely chopped hara dhaniya

# METHOD OF PREPARATION
  • Sabse pehle bhindi ko kai baar acchi tarah dhokar chalni me rakh denge jisse bhindi ka pani sookh jaaye yaa bhindi ko ek saaf kapde se ponch lenge.
  • Ab sabhi bhindi ke thono siron ( ends ) ko jara sa katkar... bhindi ko lambai m kaat kijiye.
  • Ab gas on karke kadhai me 2 tablespoon oil dalenge. Jab oil garam ho jaaye to heeng, jeera ko chatka kar aur aadha namak, haldi daal kar bhindi ko fry karenge dhak kar. Baar baar chala kar soft hone tak fry karenge.
  • Isi beech me dusre pan me besan ko acchi khushboo aur rang aane tak bhoon lenge. Ab jo kadhai wali bhindi hai, usme bhindi ko kadhai ke charon taraf laga denge jisse kadhai me saara fried bhindi ka extra oil aa jaayega.
  • Ab isi oil me bache huye saare masale daal kar fry karenge. Uske baad hi roasted besan ko bhindi ke upar daal kar acchi tarah mix kar lenge.
  • Ab cut kiya hua hara dhaniya dal kar garam garam roti, parantha yaa poori ke saath serve kijiye.
# THINGS TO CONSIDER
1. Bhindi sookhi honi chahiye.
2. Besan ko dry roast karna hai.
3. Sabhi masale aur thoda namak bhindi fry karne ke baad dalne se sabji ka flavour aur texture bahut fresh rehta hai.

Thanks doston,
Please if you like my recipe then comment and share.
Thanks again.

No comments:

Post a Comment