Me hoon Sangeeta Agrawal aaj hum bana rahe hain Singhade ki Barfi jo ki vrat (fast) me kuttu ke pakvano ke saath banayi jaati hai. Yeh taseer me thandi hoti hai aur kutu garam hota hai isliye balance karne ke liye saath me banayi jaati hai.
# INGREDIENTS
1. Singhade aata- 100 grams
2. Sugar- 200 grams
3. Water- 500 grams
# METHOD OF MAKING
- Gas on karke kadhai me 1 tablespoon ghee daal dijiye aur mandi aanch (slow medium) par chalate huye bhooniye.
- Acchi khushboo aa jaaye aur dark brown ho jaaye to gas band kar dijiye.
- Ab garam kadhai me napi huyi cheeni daal kar achchi tarah mila lijiye.
- Cheeni aur aata milane ke baad, ab isme napa hua pani milate hue chaliye, jisse koi lumps ( ganth ) na pad jaaye. Jab sab kuch ...sugar aur pani acchi tarah mil jaaye, tab gas on kijiye.
- Ab full flame par chalate hue halwa banaiye. Jab halwa kadhai chodne lage tab chiknai lagi (greased) plate me daaliye.
- Thanda hone par apni pasand ki shape me cut kariye. Lijiye doston, Singhade ki barfi taiyyar hai.
# THINGS TO CONSIDER
1. Singhade ka aata bahut jaldi bhun jaata hai. Kum ghee, kam aanch aur kam samay me.
2. Aate se doguni cheeni aur paanch guna paani.
Thanks,
Please comment and share my recipe if you like.
Thanks again.
Perfect dish for fast 👌🏻
ReplyDeleteThanks Priyanja
ReplyDeletePlease try to write in english.
ReplyDeleteOk Sasi Ji thanks
ReplyDelete