Wednesday, 14 March 2018

Papaya Halwa

Namaskar doston,
Me hoon Sangeeta Agrawal aur mere blog par aapka bahut bahut swagat hai. Aaj ki recipe hai papaya ka halwa jo ki banane me easy and simple hota hai aur khaane me bahut zyada tasty.

# INGREDIENTS
1. 250 grams ripe papaya
2. 100 grams cheeni
3. 500 grams milk
4. 1tablespoon ghee
5. 20 gram roasted and chopped nuts like, kaaju, badam etc.
6. 1/2 teaspoon ilaichi powder (cardamom powder)
7. 1 teaspoon kishmish

# METHOD OF PREPARATION

  • Papaya ko grate kare. Phir ek kadhai me ek teaspoon ghee daal kar dry fruits ko roast karke kadhai se nikal kar alag rakhe. 
  • Isi kadhai me grated papeete ke mixture ko roast kare. Jaise hee papeeta mixture dry hone lage doodh dal dijiye. 
  • Aur phir dry hone tak pakayenge. Ab cheeni aur kishmish daal denge. Dubara sugar syrup ke dry hone tak pakayenge. 
  • Lijiye garam garam halwa taiyar hai. Dry fruits se garnish karke serve kijiye.


Thanku Doston,
Please try this recipe. If you like it then please like and share my blog.
Thanks again.

No comments:

Post a Comment