Hello friends,
Me hoon Sangeeta Agrawal aur mere blog par aapka bahut bahut swagat hai doston. Baigan ki sabji ko hum bahut tarah se enjoy karte hain jaise baigan bharta, baigan aaloo, floating gravy baigan etc.
Aaj meri recipe hai bharvan baigan jo ki taste me lajawab lagte hain.
# INGREDIENTS
- 250 grams baigan chote (small size)
- 3 spoons mustard oil
- A pinch of Hing
- 1/3 spoon namak (baigan mein namak thoda hi lagta hai)
- 1 spoon haldi
- 1 spoon dhaniya powder
- 2 spoon saunf
- 1 spoon lal mirch powder
- 1 spoon aamchur powder
- Chopped adrak and hari mirch
- 1 spoon jeera, methi, rai aur saunth powder (Roasted and grinded)
# METHOD Of
MAKING ...
- Baigan ko dhokar unke danthal nikalkar beech me se aise cut kijiye ki uper se baigan jude rahein.
- Ab kadhai me oil daal kar tez aanch par garam kijiye. Jab oil achhe se garam ho jaaye tab gas off kariye.
- Ab oil ke thoda thanda hone par heeng daliye. Lal mirch aur khatai ke alawa sabhi masale beech me se cut kiye huye baigano me utna hi bhariye jitna aaram se bhar jaaye.
- Sim flame par baigan ko palat palat kar sekiye .
- Last me bache huye masale, lal mirch powder, amchur aur hara dhaniya daal kar bahut halke haath se mix kijiye.
- Lijiye chatpatay baigan taiyar hain. Ye roti and parante ke saath bahut tasty lagte hain.
# THINGS TO CONSIDER
- Bharvan baigan ke liye chote size ke baigan alag se aate hain.
- Baigan bina paani ke hi bante hain isliye time to time flame ko off or on karke banaye.
- Bharva baigan k masale m sabut dhaniya,moongfali aur dry coconut ko bhunkar milane s swad badh ( increase ) ho jaata h.
- Baigan ke poori tarah sik jaane par mirch, aamchur aur bache huye masale mix karne se baigan ka swaad doguna badh jaata hai. Masale jalte nahi aur fresh taste aata hai.
Thanku Doston...
If you like my recipe please like and share it.
Thanks again.
No comments:
Post a Comment