Hello friends,
Me hoon Sangeeta Agrawal aur mere blog par aapka bahut bahut swagat hai doston. Gulab ke phool ki khushboo to achhi hoti hi hai aur iske bahut saare health benefits hain. Isliye hum rose flower (gulab ke phool) ko gulkand aur rose syrup ke roop me bana kar use karte hain. Meri aaj ki recipe hai Rose Syrup.
# INGREDIENTS
- 150 grams rose petals (500 gram rose flowers)
- 600 grams cheeni (sugar)
- 50 grams honey for preventing crystallizationn of sugar
# METHOD OF MAKING
- Pehle gulab ke phoolon me se pankhuri (petals ) ko alag karke achhi tarah paani mein dho lijiye.
- Phir dubara mild hot water me dip karke clean kijiye jisse agar koi germs yaa worm ho toh nikal jaaye.
- Ab sabhi petals ko haath se hi todkar bareek kijiye aur pankhurio ko 1/2cup paani daal kar, grind karke ek rough paste banaye.
- Ab ek bade pan mein cheeni, honey aur gulab ke paste ko mila kar ek din (1 day) ke liye rasoi mein hi rakhiye jisse phool aur cheeni ke saath ek sugar syrup taiyyar ho jaaye.
- Next day se phool cheeni wale container ko dhak kar yaa maheen kapde se bandhkar dhoop mein rakh kar pakaiye.
- Daily ek clean spoon se chalakar dhoop (sunlight) aane par rakhiye aur dhoop jaane par utha lijiye.
- Aajkal tez dhoop hoti hai, 5 or 6 din me hi taiyyar ho jaayega.
- Ab ek clean jar me bhar kar thanda thanda enjoy kijiye.
# THINGS TO CONSIDER
- Rose syrup ko fresh flowers se hi banaye.
- Agar aapke yahan dhoop nahi hai yaa time nahi hai toh aanch par paka kar taiyyar kijiye aur baad me shahad (honey ) milakar ek bottle me bhar kar store kijiye.
- Syrup me honey ki jagah lemon yaa citric acid bhi daal sakte hain.
Thanku Doston,
If you like my traditional recipe please like it.
Thanks again.
No comments:
Post a Comment