Hello friends,
Me hoon Sangeeta Agrawal aur mere blog par aapka bahut bahut swagat hai doston. Aajkal summer ka season hai aur bahut tez dhoop nikal rahi hai. Traditionally is samay bahut saare achar aur thandak dene wali cheeze banayi jaati hain. Aaj ki recipe hai gulab ke phool (Rose Flowers ) ka Gulkand jo ki tasty ke saath healthy bhi hota hai.
# INGREDIENTS
- 100 grams rose petals (250 gram gulab )
- 400 grams cheeni
- 50 grams honey
# METHOD OF MAKING
- Gulab ke phoolon se pankhuri (petals) nikal kar, acchi tarah dhokar chalni mein rakh dijiye.
- Extra paani nikalne par, sabhi pankhuri ko haath se todha sa todh lijiye jisse cheeni me phool jaldi soft ho jaaye.
- Ab gulab aur cheeni ko ek ke upar ek ki layer lagate huye, shahad (honey) daal kar rakh dijiye jisse cheeni gulkand set naa jaaye.
- Ek din ke liye rasoi (kitchen) mein hi rahne dijiye jisse phool aur cheeni acchi tarah mix ho jaaye.
- Next day ek spoon se achhi tarah mix karke dhoop (sunlight) mein rakhna shuru kijiye.
- Gulkand ko malmal ke kapde (cloth) se bandh kar yaa jaali (sieve) se dhak kar daily dhoop aane par rakh dijiye aur evening me ek baar clean spoon se chalakar rasoi mein rakhiye.
- Isi tarah 7 yaa 8 din (days) mein gulkand taiyyar ho jaayega.
- Dhoop me banaya hua gulkand kabhi kharab bhi nhi hota hai aur bahut saare health benefits hain.
# THINGS TO CONSIDER
- Gulkand cheeni ki chashni mein hi pakate hain isliye matra sahi rakhiye.
- Gulkand ko crystalize hone se rokne ke liye lemon yaa citric acid ka bhi use kiya jaata hai.
- Gulkand ko clean, sterilized container mein bharkar store kijiye.
Thanku Doston,
If you like my recipe then like and share it.
Thanks again.
No comments:
Post a Comment