Hello friends,
Me hoon Sangeeta Agrawal aur mere blog par aapka bahut bahut swagat hai doston. Aajkal lauki ka season hai aur bahut hi fresh lauki mil rahi hai isliye aaj ham lauki (bottlegourd) k kofta banayenge jo ki khaane me bahut tasty lagte hain. Meri aaj ki recipe hai Lauki Kofta Karara jinko roti, paranthe yaa rice ke saath khaa sakte hain.
# INGREDIENTS
- 300 grams grated lauki
- 100 grams besan or as per needed
- 1 teaspoon salt as per taste
- Chopped hari mirch and ginger
- 1 teaspoon crushed kali mirch
- 1/2 spoon citric acid (neembu ke phool)
- Ghee or oil for frying kofta
INGREDIENTS FOR GRAVY OF KOFTA
- 100 grams dahi (curd)
- 1 teaspoon jeera (cumin seeds),1 pinch of heeng, 1/2tea spoon red chili powder
- 500 ml. water or as needed
- 1 tablespoon haldi (turmeric), dhaniya powder
INGREDIENTS FOR TADKA
- 1 tablespoon desi ghee
- 1 teaspoon jeera, 1/2tea spoon heeng, 1 teaspoon pisi huyi lal mirch (red chili powder)
- 2 sabut lal mirch
# METHOD OF MAKING
- Sabse pehle lauki ko achhi tarah dhokar, cheel kar grate karenge aur ab grated lauki ko bina nichoday (squeeze) kiye bina sabhi kofta ingredients ko milakar aur achhi tarah masalkar lauki ke chote balls banakar kadhai me deep fry kar ek napkin par rekh denge jisse extra ghee nikal jaaye.
- Ab kadhai me sabji banane se pahle ek bowl mein dahi ko achhi tarah beat karke paani milakar alag rakhiye.
- Ab ek kadhai me ghee garam hone par hing jeera ko chatka kar masale daal kar zara sa bhooniye.
- Phir dahi paani ko daaliye aur lagatar ubaal ke khatam hone tak chalate rahiye jisse dahi phat naa jaaye.
- Zaroorat k hisab se aur pani mila lijiye. Ab kofte daal kar thodi der boil kar gas band kariye.
- Tadka lagaa kar mix kijiye. Lijiye lauki kofta karara taiyyar hai. Hara dhaniya se garnish kijiye.
# THINGS TO CONSIDER
- Grated lauki ko squeeze naa kare jabki isi me besan etc. milakar kofta fry karen. Isi wajah se kofte ekdam soft bante hain.
- Lauki ke hisab se besan ko kum zyada adjust kariye.
- Namak (salt) gravy me boil hone ke baad hi daalna hai.
- Agar kofta soft naa bane to 1 spoon dahi yaa 1 pinch baking soda add kijiye.
- Agar dahi pahle mix karne par gravy phat jaati h to dahi ko sabhi ke thande hone par milakar tadka daliye.
Thank you doston,
If you like my recipe then please like and share it.
No comments:
Post a Comment